is bar un se mil ke juda hum jo ho gae un ki saheliyon ke bhi aanchal bhigo gae chaurahon ka to husn badha shahr ke magar jo log namwar the wo patthar ke ho gae sab dekh kar guzar gae ek pal mein aur hum diwar par bane hue manzar mein kho gae mujh ko bhi jagne ki aziyyat se de najat ai raat ab to ghar ke dar-o-baam so gae kis kis se aur jaane mohabbat jatate hum achchha hua ki baal ye chandi ke ho gae itni lahuluhan to pahle faza na thi shayad hamari aankhon mein ab zakhm ho gae ikhlas ka muzahira karne jo aae the 'azhar' tamam zehn mein kante chubho gae