is bazm mein pate nahin dil-soz kisi ko yan shama hamari hai na parwana hamara kis ke rukh-e-raushan ka tasawwur hai ye dil mein hai manzil-e-khurshid siyah-khana hamara naseh ki nasihat se hai zid aur bhi dil ko sunta nahin hoshyar ki diwana hamara dil le chuke phir bose ki takrar hai bheja do jins hi ya pher do baiana hamara hum zulf-e-pareshan ki tarah se hain pareshan ab dam ki kashakash hai faqat shana hamara sau aarzu-e-murda ko rakkha hai jo dil mein takiya hai maqabir ka ye virana hamara