jis se mil baithe lagi wo shakl pahchani hui aaj tak hum se yahi bas ek nadani hui saikdon parde utha lae the hum bazar se gutthiyan kuchh aur uljhin aur hairani hui hum to samjhe the ki us se fasle mit jaenge khud ko zahir bhi kiya lekin pashemani hui kya bataen fikr kya hai aur kya hai justuju han tabiat din-ba-din apni bhi sailani hui kyun khilaune tutne par aab-dida ho gae ab tumhein hum kya bataen kya pareshani hui