is be-khudi mein rukhsat khuddari ho gai hai mushkil hui jo aasan dushwari ho gai hai ek dagh-e-dil pe bhi ab apna nahin tasarruf ye sab zamin goya sarkari ho gai hai is bojh ki na puchho gathri hai dil ye jis ko jitna kiya hai halka kuchh bhaari ho gai hai shikwa nahin sitam ka par ab ye dekhta hun tum ko sitamgari ki bimari ho gai hai koi talab na hasrat kuchh shauq hai na aadat ab teri yaad meri lachaari ho gai hai lahje ki pairwi se tapta hai 'mir' koi wo 'mir' khatm jis par fankari ho gai hai