jazb-e-dil kargar nahin hota us ke dil par asar nahin hota dard dil mein agar nahin hota baat mein kuchh asar nahin hota na kare tark pairwi jab tak rah-rau rahbar nahin hota rang lati nahin mohabbat kuchh soz jab tak sharar nahin hota nahin khulta dar-e-nashat-e-abad chaak jab tak jigar nahin hota badhte jate hain rah mein kante yarab aage safar nahin hota jaanta hun maal-e-betabi dil pe qabu magar nahin hota ho na jab tak usi ka fazl-o-karam qatra dariya 'jigar' nahin hota