is bhare shahr mein aaram main kaise paun jagte chikhte rangon ko kahan le jaun pairahan chust hawa sust khadi diwaren use chahun use rokun ki juda ho jaun husn bazar ki zinat hai magar hai to sahi ghar se nikla hun to us chauk se bhi ho aaun ladkiyan kaun se goshe mein ziyaada hongi na karun baat magar ped to ginta jaun kar raha hun jise badnam gali-kuchon mein aankh bhi us se milate hue main gharaun wo mujhe pyar se dekhe bhi to phir kya hoga mujh mein itni bhi sakat kab hai ki dhoka khaun husn khud ek bhikari hai mujhe kya dega kis tawaqqoa pe main daman-e-nazar phailaun waqia kuchh bhi ho sach kahne mein ruswai hai kyun na khamosh rahun ahl-e-nazar kahlaun ek muddat se kai sae meri tak mein hain kab talak raat ki diwar se sar takraun aadmiyat hai ki hai gumbad-e-be-dar koi dhundne niklun to apna bhi na rasta paun liye phirta hun khayalon ka dahakta dozakh sar se ye bojh utarun to khuda ho jaun