zahmat kabhi kabhi to mashaqqat kabhi kabhi lagti hai zindagi bhi musibat kabhi kabhi pahlu mein jagti hai mohabbat kabhi kabhi aati hai hath dard ki daulat kabhi kabhi ab tak tere baghair main zinda hun kis tarah hoti hai apne aap par hairat kabhi kabhi ek pal ka jo visal tha un mah-o-sal mein deta hai hijr mein bhi rifaqat kabhi kabhi chhede wafa ka git koi naghma-saz jab khud se bhi hone lagti hai wahshat kabhi kabhi ek raat hijr ki hai musalsal hamare sath tum par guzarti hogi qayamat kabhi kabhi sulgi hai teri yaad mein ye ruh raat din dene lagi hai lau ye rifaqat kabhi kabhi duniya ke waste jo bahut be-shuur tha us se mili hai ishq ko waqat kabhi kabhi mujh ko teri jafa ka to shikwa nahin magar aati hai yun hi lab pe shikayat kabhi kabhi main dard se najat ki talib nahin magar 'shahin' kam ho thodi si shiddat kabhi kabhi