is bhul mein na rah ki ye jhonke hawa ke hain

is bhul mein na rah ki ye jhonke hawa ke hain
tewar to un ke dekh zara kis bala ke hain

kya majra hai ai but-e-tauba-shikan ki aaj
charche teri gali mein kisi parsa ke hain

is chashm-e-nim-wa ki hai masti sharab mein
saghar mein sare rang usi ki haya ke hain

hasti ki qaid katte rahte hain raat-din
kya jaane kitne sal hamari saza ke hain

ai shaikh kya daraata hai maidan-e-hashr se
hum bandagan-e-khalq bhi bande khuda ke hain

hai khauf kuchh to mauj-e-talatum ka bhi magar
hum log zakhm-khurda but-e-nakhuda ke hain

rahna pada hai dur karachi se warna hum
is shahr-e-be-misal ke aashiq sada ke hain

raij rahenge shahr-e-sukhan mein hamare sher
sikke hain ye khare ki ye qisse wafa ke hain

rakhta hai ek saliqa-e-izhaar mukhtalif
sab mo'tarif 'khalil' ki tarz-e-ada ke hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close