manoge ek baat kaho to bolun main hone ko hai raat kaho to bolun main panch baje hi meri bari thi thi na hue hain paune sat kaho to bolun main bund bund mein khun utar aaya dekho kaisi hai barsat kaho to bolun main goya aisa khel nahin hai duniya mein shah mein baithi mat kaho to bolun main insan ho to insan rahna sikho aur gandi gandi baat kaho to bolun main kale kartab kale dhandhe wale log puchh rahe hain zat kaho to bolun main kewal aanten tut rahi hain baqi 'dip' achchhe hain haalat kaho to bolun main