is chaman ka ajib mali hai jis ne har shakh kat dali hai din ujala ganwa ke baith gaya raat ne raushni chura li hai gham ki ismat bachchi hui thi magar waqt ne wo bhi raund dali hai moajiza ho jo bach nikal jae panch shahbaz ek lali hai ye tera adl kya hua yarab koi adna hai koi aali hai aankh mein chubh gae kai manzar ab kahan nind aane wali hai pahle waqton mein ho to ho shayad dosti ab hasin gali hai khema-e-zabt ki tanaben khinch kuchh ghata si barasne wali hai chalte rahna kathin hua 'hasrat' panw zakhmi hain raat kali hai