hawa ke dosh pe kis ke payam aate hain hamare ghar ke dar-o-baam mahke jate hain main sukhi dal hun lekin tumhaari yaadon ke parinde aa ke sar-e-sham baith jate hain hamari aankhon mein yun intizar raushan hai nadi mein jaise kai dip jhilmilate hain chali hain daur-e-taraqqi ki aandhiyan kya kya sharafaton ke dar-o-baam tute jate hain dhundlaka sham ka chhane laga hai sochti hun ki is samay to parinde bhi laut aate hain ye zindagi wo kadi dhup hai 'nasim' yahan na jaane kitne hare ped sukh jate hain