is chaman mein ham-nafas kyon is qadar nayab hai har mamola kyon samajhta hai ki wo surkhab hai main to samjha tha ki dariya-e-sitam payab hai kya pata tha do kinaron mein chhupa sailab hai kyon teri khushbu se mahka ek ek zarra yahan kyon teri aawaz meri ruh ka mizrab hai ek main hi to nahin is shahr mein kuchh be-qarar jaan-ba-lab teri talab mein har koi betab hai ek jagah par tik ke baithe ye to ho sakta nahin har ghadi harakat mein rahta hai ye dil simab hai hai kisi ke husn ke suraj ki ek halki kiran khud se raushan hai kahan chehra agar mahtab hai ghat mein rustam teri taqdir ka baitha hua garche tu apne tain tadbir ka sohrab hai dard ka dariya 'hidayat' sher ke kuze mein band aur ghazal ki bahr mein afkar ka girdab hai