is chhote se shahr mein kab tak chhupa rahega aakhir wo yahin kahin pe dhata hoga koi naya man mandir wo aag si khaslat hawa tabiat bas ye hi ausaf bache pani mitti jaise bhul ke aaya kahan anasir wo na-mumkin tha hum donon mein karobar mohabbat ka mera tha iman wafa par aur wafa ka tajir wo donon apni apni rit nibhane par majbur hue main ek ped thi jaise rasta bhula ek musafir wo aaine be-aib sabhi the lekin phir bhi tod gaya ye aasan tha apne naqsh badalne se tha qasir wo lut ke jo le jaen basti un ko lute tanhai apne ghar se ek din ho jaega 'nur' muhajir wo