kyon roiye jo nala-e-dil-e-na-rasa hua ye sochiye ki jazb-e-mohabbat ko kya hua surat ye hai ki mujh mein wo jalwa-numa hua hairat ye hai ki meri nigahon ko kya hua pura taqaza-e-khalish-e-muddaa hua jab jaan di to farz-e-mohabbat ada hua shamil hai qaid-e-ishq mein aazadiyon ki ruh ab kya kahun asir hua ya riha hua qaidi sahi junun-e-tamanna ko kya karun phirta hun apne dil mein tumhein dhundhta hua dil mein siwae hasrat-e-pamal kuchh nahin is ghar mein ek charagh hai wo bhi bujha hua saqi ye tera ‘shahid’-e-makhmur to nahin aata hai mai-kade mein koi jhumta hua