is dar se ishaara na kiya hont na khole dekhe ki na dekhe koi bole ki na bole patthar ki tarah tum ne mera sog manaya daman na kabhi chaak kiya baal na khole main ne sar-e-girdab kai bar pukara sahil se magar log badi der se bole main aalam-e-tanhai mein nikla hun safar par phir gardish-e-ayyam kahin sath na ho le hum kohna riwayat ke mujrim hain ki hum ne insan kabhi sone ki taraazu mein na tole phir 'ram' yahan chup ko bahut der lagegi ji khol ke hans le abhi ji khol ke ro le