gesu-e-dauran ko kam kam jitna suljhata hun main kya qayamat hai ki utna hi ulajh jata hun main nabz ki raftar khud kah degi ahwal-e-mariz ai tabib-e-waqt kuchh kahne se ghabraata hun main faisla-kun baat ho jati hai aksar us ghadi zindagi ke ru-ba-ru jab maut ko pata hun main un ke aane ka tasawwur un ke jaane ka khayal har do-alam ke tasawwur se laraz jata hun main sard-mehri-e-zamana ka hua hai jab asar apni shiryanon mein khun-e-garm daudata hun main munfail hone pe bhi meri khataon ka shumar kaisa dastur-e-adalat is jagah pata hun main hae bismil to na samjha muqtaza-e-waqt ko na-samajh le apna qissa phir se dohraata hun main