is dard-e-la-jawab se parhez kya karen

is dard-e-la-jawab se parhez kya karen
hoti nahin janab se parhez kya karen

ai tajrabaat-e-zindagi pahla padaw hai
ghalti ke irtikab se parhez kya karen

khud hi to di hain ai khuda duniya ki lazzaten
hum log dastiyab se parhez kya karen

muddat rahe hain yar teri justuju mein hum
sahra mein hain sarab se parhez kya karen

jab zehn-o-dil mein yaad ki takhti lagi rahe
aankhen kisi ke khwab se parhez kya karen

apni kitab-e-zist ka unwan ishq hai
to phir junun ke bab se parhez kya karen

har din nikal ke samne aata hai aaftab
hum husn-e-be-hijab se parhez kya karen

'shiraaz' mante hain ki aadat kharab hai
par aadat-e-kharab se parhez kya karen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close