koi ret raqs mein mast thi ki hawa chali thi surur se

koi ret raqs mein mast thi ki hawa chali thi surur se
tere zawiye pe hi ghumta hua aa gaya koi dur se

tujhe itne pas se dekh le koi ahl hai na ye sahl hai
kabhi jism ghulta hai aag mein kabhi aankh jalti hai nur se

mujhe koi fikr-e-fana bhi kya main to jaanta hun baqa hai kya
tujhe dhundne se nahin mila main ne pa liya hai shu'ur se

koi aur mujh mein hunar na tha mujhe bandagi ne bada kiya
use shahnshah ne bhi rad kiya wo bhara hua tha ghurur se

mere kari-gar tere bas mein hai ye hayat bhi ye mamat bhi
teri kun se hai meri ibtida meri intiha tere sur se

na hi koi naghma na saz bhi na hi zindagi ka jawaz bhi
to kya mit gaya hai 'shiraaz' bhi teri dastan ki sutur se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close