is darja hai kyon mujh pe inayat koi puchhe

is darja hai kyon mujh pe inayat koi puchhe
kya ab hai mere sar ki zarurat koi puchhe

kya ho gai aapas ki mohabbat koi puchhe
kab lut gai is shahr ki hurmat koi puchhe

kya sirf khuda hi ko khuda kahte hain ye log
kyon dhai hai in logon pe aafat koi puchhe

aiwan-e-siyasat ke jharokon se palat kar
mujh se to mere des ki haalat koi puchhe

mabud ke bandon ki bali chadhti hai din-raat
kya aise bhi hoti hai ibaadat koi puchhe

kab tak yahan ye misr ka bazar lagega
mujh se bhi to aakhir meri qimat koi puchhe

sahra mein koi dekhe mere sabr ki wusat
dariya se meri pyas ki shiddat koi puchhe

jo subh ke tare ki tarah dub raha ho
kash us se andheron ki masafat koi puchhe

jab waqt ko mutthi mein jakad hi nahin sakte
kyon karte hon lamhon ki hifazat koi puchhe

maghrib mein hain khud hath hain mashriq ki kalon par
in nafs ke bandon se jasamat koi puchhe

har samt se hai sirf namak-pashon ki yalghaar
mujh se mere zakhmon ki malahat koi puchhe

har chiz dikha dete hain ye aankhon ke rauzan
kab chhupti hai andar ki kudurat koi puchhe

jis ped ke sae mein zamin rahti hai thandi
us se kabhi suraj ki tamazat koi puchhe

har shakhs hi bimar hai is shahr mein 'naqwi'
kis kis se bhala us ki tabiat koi puchhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close