is dasht ki wusat mein simat kar nahin dekha ek umr chale aur palat kar nahin dekha hum ahl-e-nazar ho ke bhi kab ahl-e-nazar the haalat ko khud se kabhi hat kar nahin dekha ahbab ki banhon ka nasha aur hai lekin tu ne kabhi dushman se lipat kar nahin dekha ek dard ke dhage mein piroe hain azal se is rishta-e-mauhum se kat kar nahin dekha ya raat ke daman mein sitare hi bahut the ya hum ne charaghon ko ulat kar nahin dekha kaise nazar aate meri aankhon ke jazire is bahr-e-talab ne kabhi ghat kar nahin dekha shahzad'-qamar dekh raha hai wahi duniya khanon mein jahan zist ne bat kar nahin dekha