mausam aane pe shajar baur se bhar jata hai jaane kis or magar sara samar jata hai aa ke baithe ho tum aur waqt-e-sahar aa pahuncha kis qadar jald bhala waqt guzar jata hai jab bhi beti ki judai ka saman sochta hun ek khanjar mere sine mein utar jata hai tu ne dekha hi nahin mud ke zara ai khuban koi kuche se tere khak-ba-sar jata hai gham na kar tu jo tadapta hun main gahe gahe jate jate hi mohabbat ka asar jata hai kaisi tasir hai is husn-e-fusun-saz ki bhi koi jita hai koi dekh ke mar jata hai ek zarurat ne jhukaya mujhe kis kis dar par mere andar ye koi soch ke mar jata hai kaisi mushkil mein mujhe dal diya ai dauran main ki dastar bachata hun to sar jata hai