is dasht pe ehsan na kar ai abr-e-rawan aur jab aag ho nam-khurda to uthta hai dhuan aur wo qahat-e-junun hai ki koi chaak gareban aata hai nazar bhi to guzarta hai guman aur ye sang-zani mere liye barish-e-gul hai thak jao to kuchh sang ba-dast-e-digran aur suraj ko ye gham hai ki samundar bhi hai payab ya rab mere qulzum mein koi sail-e-rawan aur 'shair' ye zamin hazrat-e-ghaalib ki zamin hai har sher talab karta hai khun-e-rag-e-jaan aur