is dasht-e-sukhan mein koi kya phul khilae chamki jo zara dhup to jalne lage sae suraj ke ujale mein charaghan nahin mumkin suraj ko bujha do ki zamin jashn manae mahtab ka partaw bhi sitaron pe giran hai baithe hain shab-e-tar se ummid lagae har mauj-e-hawa shama ke dar pai hai azal se dil se kaho lau apni zara aur badhae kis kucha-e-tiflan mein chale aae ho 'shair' aawaza kase hai to koi sang uthae