is daur-e-be-dili mein koi baat kaise ho chahen bhi hum to khud se mulaqat kaise ho kate nahin gae to mere hath kaise ho mere nahin ho tum to mere sath kaise ho patthar baras rahe hain to mujh par bhi aaenge main chup rahun magar basar-auqat kaise ho kuchh dekhte nahin ho to bina ho kis liye thande pade hue ho to jazbaat kaise ho tum qaidiyon ki tarah mere dil mein ho asir phaile nahin jahan mein khayalat kaise ho is raushni mein chehra chhupaoge kab talak tum mangte ho raat magar raat kaise ho suraj na chahta ho to din kis tarah dhale baadal hi ruth jaen to barsat kaise ho wo chahte hain un ke liye main dua karun shamil is aarzu mein meri zat kaise ho bande ka aur khuda ka talluq hi mit chuka patthar hui zaban munajat kaise ho aisa koi jo meri zaban bhi samajh sake tum ajnabi ho tum se meri baat kaise ho main apne dushmanon ko bhi pahchanta nahin 'shahzad' doston se mulaqat kaise ho