zakhmon se kahan lafzon se mari gai hun main jiwan ke chaak se yun utari gai hun main mujh ko mere wajud mein bas tu hi tu mila aise teri mahak se sanwari gai hun main afsos mujh ko us ne utara hai gor mein jis ke liye falak se utari gai hun main mujh ko kiya hai khak to phir khak bhi uda ai ishq teri rah mein wari gai hun main lo aa gai hun hijr mein marne ke waste itne khulus se jo pukari gai hun main meri sadaqaton pe tumhein kyun nahin yaqin sau bar aag se bhi guzari gai hun main tum jaante nahin ho aziyyat ke kaif ko hijrat ke karb se to guzari gai hun main main mit chuki hun aur numayan hua hai tu murshid khumar mein yun khumari gai hun main is wajd mein wajud kahan hai mera wajud jaane kahan pe sari ki sari gai hun main maqtal mein jaan dena thi pyaron ke waste main hi thi un ko jaan se pyari gai hun main ye qarz-e-ishq main ne chukana tha is liye 'shahin' apni jaan se wari gai hun main