is daur ke aaqaon ki aadat nahin badli

is daur ke aaqaon ki aadat nahin badli
hum jaise faqiron ki bhi fitrat nahin badli

masjid bhi gae aur shiwala bhi gae hum
is dil ne magar teri ibaadat nahin badli

tadbir se taqdir ne pai hai bulandi
hathon ki lakiron se to qismat nahin badli

sadiyon se use dekh raha hai ye zamana
kya baat hai aaine ki surat nahin badli

mele mein kahin kho gae hain phul se bachche
lekin abhi man-bap ki rangat nahin badli


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close