is dhup se kya gila hai mujh ko sae ne jala diya hai mujh ko main nala-e-sukut sang ka hun sahra ne bahut suna hai mujh ko main lafz ki tarah be-zaban tha mani ne ada kiya hai mujh ko har sach ka nasib sang-sari aur sach hi se wasta hai mujh ko khaif nahin marg-e-na-gahan se sine ka wo hausla hai mujh ko patthar pe meri sada ka saya aaina dikha raha hai mujh ko aawaz de mujh ko tirgi mein aawaz hi naqsh-e-pa hai mujh ko