zamin se dur rahe aasman se dur rahe

zamin se dur rahe aasman se dur rahe
jo tum the pas to sare jahan se dur rahe

jo ashk-e-gham mizha-e-khun-fishan se dur rahe
fasana ban gae lafz-o-bayan se dur rahe

wo kya bataen bahaaron ki hashr-samani
jo tairan-e-qafas gulistan se dur rahe

sitam-zarifi-e-fitrat wo mir-e-manzil hain
wahi jo gard-e-rah-e-karwan se dur rahe

ghata saka na zamana dilon ki qurbat ko
tumhaare pas rahe aastan se dur rahe

wo daur asl mein jaan-e-ghazal-sarai tha
wo daur jis mein ki hum aashiyan se dur rahe

nazar se duri ka 'ehsas' itna gham to na tha
malal ye hai dil-e-dostan se dur rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close