is dil mein apni jaan kabhi hai kabhi nahin aabaad ye makan kabhi hai kabhi nahin ghairon ki baat kya kahun is ki to yaad mein apna bhi mujh ko dhiyan kabhi hai kabhi nahin wo din gae jo karte the hum muttasil fughan ab aah-e-na-tawan kabhi hai kabhi nahin jis aan mein rahe tu use jaan mughtanim yan ki har ek aan kabhi hai kabhi nahin ayyam-e-wasl par to bharosa na kijiyo ye waqt meri jaan kabhi hai kabhi nahin aadat jo hai hamesha se us ki so hai gharaz wo hum pe mehrban kabhi hai kabhi nahin is dosti ka teri talawwun-mizaji se apne tain guman kabhi hai kabhi nahin maghrur hojiyo na is auj-o-hasham pe tu yan ki ye izz-o-shan kabhi hai kabhi nahin aashiq kahin hua hai 'hasan' kya hai us ka haal ye aap mein jawan kabhi hai kabhi nahin