na aate hamein is mein takrar kya thi magar wada karte hue aar kya thi tumhaare payami ne sab raaz khola khata is mein bande ki sarkar kya thi bhari bazm mein apne aashiq ko tada teri aankh masti mein hushyar kya thi tammul to tha un ko aane mein qasid magar ye bata tarz-e-inkar kya thi khinche khud-bakhud jaanib-e-tur musa kashish teri ai shauq-e-didar kya thi kahin zikr rahta hai 'iqbaal' tera fusun tha koi teri guftar kya thi