is duniya mein tanha hun

is duniya mein tanha hun
main be-nam sa chehra hun

kaisi baaten karte ho
main bhi tumhaara hissa hun

us ki gali tak jo jae
main ek aisa rasta hun

aansu ki ek bund hun main
aur aankhon mein rahta hun

dar khud hi khul jata hai
main kab dastak deta hun

tujh ko bhi kuchh jaldi hai
main bhi jaane wala hun

aane wale waqton ka
main ek guzra lamha hun

mujh par jhut ki tohmat hai
yani main bhi sachcha hun

phir se mera hath pakad
main to dekha bhaala hun

aankhen surkh to hongi nan
khwabon ka rakhwala hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close