mohabbat ko pazirai mili hai tumhaare dar se ruswai mili hai bahaar-e-lala-o-gul ko chaman mein tere aariz se ranai mili hai hua wo khud se begana jahan mein jise teri shanasai mili hai junun ke faiz se pa-e-talab ko mataa-e-abla-pai mili hai teri mahfil mein zabt-e-dil ke sadqe khamoshi ko bhi goyai mili hai teri aankhon mein hum dube to dil ko samundar ki si gahrai mili hai hue aabaad hum barbaad ho kar basarat kho ke binai mili hai hamein zinda kiya murda-dili ne tujhe shan-e-masihai mili hai wahi hai mahram-e-asrar jis ko junun ke dar se danai mili hai 'tufail' us shahr-yar-e-shahr-e-gul se nigar-e-gul ko zebai mili hai