is fikr-e-rozgar mein sab khap gaya dimagh

is fikr-e-rozgar mein sab khap gaya dimagh
ab shairi ko chahiye ek dusra dimagh

ab koi baat thik se rahti nahin hai shab
wo dil kahan chala gaya aur kya hua dimagh

utha jo ye sawal ki salis kise banaen
main ne kaha ki dil sahi us ne kaha dimagh

tha dil to chiz kya saf-e-mizhgan ke samne
is marke mein shukr ye hai bach gaya dimagh

'basir' ye aadmi bhi hai kitni ajib chiz
itne se us ke sar mein hai kitna bada dimagh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close