nashat-e-kar se mahrum hi sahi hum bhi hawas se zist kei phir bhi nahin tahi hum bhi hamein bhi zoam hai danishwarana mansab ka hain mubtla-e-fareb-e-khud-agahi hum bhi hain mutthiyon mein sabhi rahnuma khutut agar uthae phirte hain kyon bar-e-gumrahi hum bhi hai zist nam taghayyur ka ye suna to hai wahi ho tum bhi wahi gham bhi aur wahi hum bhi agar hai dawa-e-ulfat to kyon uthae phiren misal-e-munshi-o-tajir 'ata' bahi hum bhi