is ghani shab ka sawera nahin aane wala ab kahin se bhi ujala nahin aane wala jibrail ab nahin aaenge zamin par hargiz phir se aayat ka tohfa nahin aane wala ho gae dafn shab-o-roz purane kab ke laut kar phir wo zamana nahin aane wala ped to sare hi be-barg hue jate hain dhup to aaegi saya nahin aane wala ye bhi sach hai ki ajal ban ke khade hain amraaz ye bhi tai hai ki masiha nahin aane wala hum ko sahna hai akele hi har ek dard ka bojh khair-khwahon ka dilasa nahin aane wala mere afkar ke sote nahin thamne wale meri sochon pe budhapa nahin aane wala nae lafzon ko baratne ka saliqa bhi to ho sirf alfaz se lahja nahin aane wala jhut be-panw bhi daudega bahut tez 'khumar' lab pe sachchai ka charcha nahin aane wala