is ek soch mein gum hain khayal jitne hain jawab utne nahin hain sawal jitne hain jo sazishon ko kuchalne ki baat karta hai bune hue hain usi ke ye jal jitne hain usi ki den hain ye sab usi ke tohfe hain hamari fikr ke shishe mein baal jitne hain hamin ne chubhte masail ki mezbani ki hamin ne pal rakhe hain wabaal jitne hain tumhaari bazm hai aabaad khush-mizajon se hamare sath hain aashufta-haal jitne hain hamare ahd mein lafzon ne kho diya mafhum uruj ban ke khade hain zawal jitne hain yaqin nahin hai tahaffuz ka ab kisi ko 'khumar' har ek zehn mein hain ehtimal jitne hain