is gosha-e-uzlat mein tanhai hai aur main hun mashuq-e-tasawwur se yakjai hai aur main hun ya ghar se qadam mera bahar na nikalta tha ya shahr ki galiyon mein ruswai hai aur main hun jis dasht mein naqe ka guzra na qadam hargiz us dasht mein majnun sa saudai hai aur main hun naseh ki na main manun hamdam ki na kuchh samjhun is ishq-o-mohabbat mein khud-arai hai aur main hun har-chand junun-e-ishq hota hai khirad-dushman ai 'mushafi' is par bhi danai hai aur main hun