ghusse se uth chale ho to daman ko jhad kar jate rahenge hum bhi gareban phad kar dil wo nagar nahin ki phir aabaad ho sake pachhtaoge suno ho ye basti ujad kar yarab rah-e-talab mein koi kab talak phire taskin de ki baith rahun panw gad kar manzur ho na pas hamara to haif hai aae hain aaj dur se hum tujh ko tad kar ghaalib ki dewe quwwat-e-dil is zaif ko tinke ko jo dikhawe hai pal mein pahad kar niklenge kaam dil ke kuchh ab ahl-e-rish se kuchh dher kar chuke hain ye aage ukhad kar us fan ke pahalwanon se kashti rahi hai 'mir' bahuton ko hum ne zer kiya hai pachhad kar