is gulshan-e-pur-Khaar se manind-e-saba bhag

is gulshan-e-pur-khar se manind-e-saba bhag
wahshat yahi kahti hai ki zanjir tuda bhag

girte the kharidar kab is tarah se us par
panw se tere lagte hi mehndi ko laga bhag

shokhi kahun kya tere tasawwur ki ki he he
shab samne aa kar mere aage se gaya bhag

jab kabk-e-dari dekhe hai raftar ko us ki
kahta hai yahi ji mein ye raftar uda bhag

zahid jo hua kar ke wuzu hauz pe qaem
ek rind ko sujhi ki tu ab us ko gira bhag

thahra jo zara bahr-e-mohabbat pe main ja kar
aai lab-e-sahil se yahi us ke sada bhag

ai 'mushafi' hai mar-e-falak rahzan-e-mardum
tu bhag sake us se to az-bahr-e-khuda bhag


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close