gila nahin hai hamein apni jaan-gudazi ka jigar pe zakhm hai us ki zaban-daraazi ka samand-e-naz ne us ke jahan kiya pamal wahi hai ab bhi use shauq tark tazi ka sitam hain qahr hain launde sharab-khane ke utar lete hain amama har namazi ka ulat-palat meri aah-e-sahar ki kya hai kam agar khayal tumhein howe neza-bazi ka batao hum se koi aan tum se kya bigdi nahin hai tum ko saliqa zamana-sazi ka khuda ko kaam to saunpe hain main ne sab lekin rahe hai khauf mujhe wan ki be-niyazi ka chalo ho rah-e-muafiq kahe mukhalif ke tariq chhod diya tum ne dil-nawazi ka kaso ki baat ne aage mere na paya rang dilon mein naqsh hai meri sukhan-taraazi ka basan-e-khak ho pamal rah-e-khalq ai 'mir' rakhe hai dil mein agar qasd sarfaraazi ka