is hadse ko dekh ke aankhon mein dard hai apni jabin pe apne hi qadmon ki gard hai aa thodi der baith ke baaten karen yahan tere to yar lahje mein apna sa dard hai kya ho gain na jaane teri garm-joshiyan mausam se aaj hath siwa tera sard hai tarikh bhi hun utne baras ki moarrikho chehre pe mere jitne baras ki ye gard hai ai raat tere chand sitaron mein wo kahan bujhte hue charagh ki lau mein jo dard hai 'azhar' jo qatl ho gaya wo bhai tha magar qatil bhi mere apne qabile ka fard hai