is raste mein jab koi saya na paega ye aakhiri darakht bahut yaad aaega bichhde huon ki yaad to aaegi jite-ji mausam rafaqaton ka palat kar na aaega takhliq aur shikast ka dekhenge log fan dariya habab sath pe jab tak banega har har qadam pe aaina-bardar hai nazar be-chehragi ko koi kahan tak chhupaega meri sada ka qad hai faza se bhi kuchh buland zalim fasil-e-shahr kahan tak uthaega tarif kar raha hai abhi tak jo aadmi uttha to mere aib hazaron ginaega