is haqiqat ka hasin khwabon ko andaza nahin zindagi wo ghar hai jis mein koi darwaza nahin shab ke kase mein tha kitne mahtabon ka lahu subh ke tare ko shayad is ka andaza nahin rang laegi kabhi to mere zakhmon ki shafaq kya hua ru-e-tamanna par agar ghaza nahin ek aansu hun khushi ki aankh se rutha hua main kisi ki muntashir palkon ka shiraaza nahin kyun bahaar aati nahin dil ke kharabe ki taraf kya teri shadab zulfon ki hawa taza nahin likh rahi hai kyun meri ruhaniyat aayat-e-kufr ye kahin duzdida khwabon ka to khamyaza nahin kis ko dekha band darwazon ne aankhen khol kar 'prem' tujh ko un ki aamad ka bhi andaza nahin