sabr-o-sukun kahan hai tere intizar mein dil ikhtiyar mein na nazar ikhtiyar mein furqat ki baat tak bhi gawara na thi jise tare wo gin raha hai shab-e-intizar mein allah re ye baada-e-rangin ki shokhiyan zahid ko pini pad gai ab ki bahaar mein yaad-e-jamal-e-dost ke qurban jaiye taskin pa raha hun dil-e-be-qarar mein jab tum ho mere pas khizan bhi bahaar hai tum hi nahin to kaise lage dil bahaar mein 'jauhar' wo aaj aae hain thame hue jigar kitna asar hai nala-e-be-ikhtiyar mein