is ishq o junun mein na gareban ka dar hai ye ishq wo hai jis mein hamein jaan ka dar hai aasan nahin dariya-e-mohabbat se guzarna yan nuh ki kashti ko bhi tufan ka dar hai bazar se guzre hai wo be-parda ki us ko hindu ka na khatra na musalman ka dar hai dil khun main tadpe hai tere tir-e-nigah se par us pe bhi zalim tere paikan ka dar hai darban bhi yan kachche ghade pani bhare hai wo hain hamin yan jin ko ki darban ka dar hai wo shokh kahin waqt-e-namaz aan na nikle ai 'mushafi' mujh ko usi shaitan ka dar hai