is jagah kaun kaun tha likhiye bhed kis tarah khul gaya likhiye jurm ko jurm ki saza likhiye dard ko dard ki dawa likhiye baat tahrir tak jab aa pahunchi wo bura hai to phir bura likhiye koi raazi nahin gawahi par sab musir hain ki hadsa likhiye baat to ye hai baat kuchh bhi nahin aap chahen to hashiya likhiye sach hai jine ka haq nahin mujh ko hai koi aur mashwara likhiye baat ka waqt kho diya 'kazim' ab to likhna hi rah gaya likhiye