zakhm-e-dil tar-tar mat karna zikr mazi ka yar mat karna hum ne phulon se zakhm khae hain hum se zikr-e-bahaar mat karna jab talak mutmain na ho jao raaz-e-dil aashkar mat karna ye tabassum saza na ban jae ye khata bar bar mat karna aankh ban kar ke raaz-daron mein har kisi ka shumar mat karna log dil mein nifaq rakhte hain ujlat-e-eatibar mat karna tujh ko buzdil shumar kar lenge chhup ke pichhe se war mat karna zindagi ka bhi ek maqsad hai har jagah jaan nisar mat karna