is ka ehsas nahin waqt ke tewar badle ranj to ye hai ki din-raat ke manzar badle mera maslak nazar-andaz kiye jaane par kis ke din phir gae kis kis ke muqaddar badle meri mastana-rawi phir bhi mayassar na hui yar logon ne kai shisha-o-saghar badle na bana par na bana mera sa paikar na bana but-tarashon ne kai qism ke patthar badle tum 'ziya' shumi-e-taqdir ko rote kyon ho inqalab aae na taqdir ka chakkar badle