is khak-dan mein ab tak baqi hain kuchh sharar se daman bacha ke guzro yaadon ki rahguzar se har har qadam pe aankhen thin farsh-e-rah lekin wo raushni ka haala utra na baam par se kyun jada-e-wafa par mishal-ba-kaf khade ho is sail-e-tirgi mein niklega kaun ghar se kis dasht ki sada ho itna mujhe bata do har-su bichhe hain raste aaun to main kidhar se ujda hua makan hai ye dil jahan pe har shab parchhaiyan lipat kar roti hain baam-o-dar se