is but-kade mein tu jo hasin-tar laga mujhe apne hi ek khayal ka paikar laga mujhe jab tak rahi jigar mein lahu ki zara si bund mutthi mein apni band samundar laga mujhe murjha gaya jo dil mein ujale ka surkh phul taron bhara ye khet bhi banjar laga mujhe ab ye bata ki ruh ke shoale ka kya hai rang marmar ka ye libas to sundar laga mujhe kya jaaniye ki itni udasi thi raat kyun mahtab apni qabr ka patthar laga mujhe aankhon ko band kar ke badi raushni mili maddham tha jo bhi naqsh ujagar laga mujhe ye kya ki dil ke dip ki lau hi tarash li suraj agar hai kirnon ki jhaalar laga mujhe sadiyon mein tai hua tha bayaban ka rasta gulshan ko lautte hue pal bhar laga mujhe main ne use sharik-e-safar kar liya 'shakeb' apni tarah se chand jo be-ghar laga mujhe